बुधवार, 9 जुलाई 2008

आएने में समय के हम फ़िर खड़े

JayNarayan Vyas Vishwavidyalay Jodhpur ke Hindee vibhag men Associate Professar Kaushalnath Upadhyaya ka pahala kavya sangrah “aaene men samay ke hum fir khade” Pichhale dinon prakashit hua hai.Isase poorva unkee kayi aalochnatmak pustaken prakashit ho chukee hain.aaj ke daur men jab manushya ke beech fasle badh rahe hain aur samvada ke silsile toot rahe hain , Kaushalnath kee kavitayen Aaene se samna karate hain aur aaaena hai ki jhooth bolta hee naheen . Parantu hamne aaene se samna karne kee kshamta kho dee hai, choonki hamen ehsas hai ki aaena hamare andar chhipa hua sab kuchh bahar nikal dega. Is dhartee par mitrata ho ya dushmanee , Swarth ho ya parmarth, Ghrina ho ya pyar, achchha ho ya bura kuchh bhee niradhar naheen hai.Yadi hum yeh sochte hain ki yeh sare jazbat niradhar hain to yeh soch swayam ke sath chhal hai.Sach se bahut samay tak munh naheen churaya ja sakta choonki ek na ek din aaene se samna karma hee padta hai.
Kaushal sawal karte hain ki doosaron men tez dhar ho, aag ho, aur swar rasyukt ho ,yeh chah aapmen hai parantu yeh dhar, aag aur swar aapka kyon naheen hai?yeh dava to who naheen karte hain ki weh bhoot-bhavishya, aagat-anagat,desh-videsh, aur samay va samay se pare sabhee ko padh sakte hain. Aadarshon ka jeevan ab naheen bacha choonki ab dooshit hawa chal padee hai jisne apnee reeti gawan dee hai.
Halanki yeh Lekhak ka pahla Kavya sangrah hai parantu sangrah men ek bhee rachna aisee naheen jise aparipakva kaha ja sake, han kabhee kabhee adhyapakeeyata parilakshit hotee hai, parantu yeh unke karm kshetra ka prabhav hai. In kavitaon ke madhyam se Kaushal swayam se aur samaj donon se muthbhed karte chalet hain .Isee udhedbun men aaena chamka magar dhundhla gaya, sach kahte kahte shayad thak gaya ho , parantu samay ke aaene men hum fir khade hain aur sach ko jhuthla pana hansee khel naheen hain, choonki chetna ko chamak, chah ko janm aaene ne hee diya hai aur tez ko bheetar jagaya hai. Sangrah men 43 rachnayen hain aur apne men poorn hain. Pustak men do shabd ya Bhoomika naheen hai choonki sach ko kisee bhoomika kee avashyakta hee kahan hai?
Pustak:--Aaene men samay ke hum fir khade
Lekhak:--Kaushalnath Upadhyaya
Moolya:--80Rs.
Prakashak:--Rajasthane Sahitya Sansthan, Jodhpur.