शुक्रवार, 6 जून 2008

सत्य जीतता है.

Bhoomandleekaran ke aagman ke bad bhautikta kee daud shuru ho gayee hai aur Is daud men har koyi uchak kar who sab kuchh hasil kar lena chahta hai, jo ek bhautikwadee sansar men aavashyak hai. Lekin is daud men agr kuchh badhak hai to who antaratma hai. Iseeliye aadmee antratma ko girvee rakhne par aamada hai.Isee antaratma ko “Satya jeetta hai” kavya sangrah men Murlee Manohar Shreevastava ne jhakjhorne ka prayas kiya hai.
Prayag ke mool nivasee aur peshe se abhiyanta Murlee Manohar Shreevastava ne apne taza kavya Gazal sangrah “Satya Jeetta hai” men jeevan ke anek pehluon par kalam chalayee hai jismen unka prernasrot kisee ek nayika ke ird gird naheen ghoomta hai. Unkee chinta hai ki aadmee ka hridaya[heart] machine ho gaya hai jo har sahee galat baat par bas oopar neeche sar hilata hai. Murlee Manohar Shreevastava kee drishti men shoonya matr khaleepan naheen hai balki shoonya ek uplabdhi hai choonki kabhee kabhee shoonya se khaleepan bhara jata hai. Bhagwan ko bhee who chunautee dene se hichakte naheen hain ki Bhagwan banna to asan hai lekin Insan banna bahut mushkil.
Lekhak aur prakashak ke sambandhon par bhee Murlee Babu war karne se choke naheen hain.Unkee peeda hai ki ek rachna ko lekhak hriday men dheere dheere seta hai, aseem peeda ke sath jam deta hai aur Saraswatee ke putra kee yeh rachna jab prakashnarth Luxmeeputra Prakashak ke pas pahunchtee hai to who rachna ke sath balatkar kar koode kee tokree men fenk deta hai.
Sangrah kee bhoomika jane mane kavi Ashok Chakrdhar ne likhee hai.Sangrah men 48 kavitayen hain aur 6 Gazalen hain. Parantu Murlee babu Gazalon ke sath nyay naheen kar paye hain ya belag kahen to Gazal kee taang unhone jabardastee marodee hai choonki yahan bhashagat va vyakarneey ashuddhiyan hain. Behtar hota ki Murlee babu Kavita men hee hath aajmate choonki jyada likhna jarooree naheen hai parantu achchha likhna jarooree hai.baharhal kulmilakar Kavya sangrah ausat darze se kuchh behtar hai ‘theme’ ke karan. Agar Ashok Chakrdhar ke shabdon men kahen to-“ In kavitaon ko padhiye naheen inse miliye.”

Pustak:-- Satya jeetta hai
Lekhak:-- Murlee Manohar Shreevastava
Moolya:--80 Rs.
Prishth:--72
Prakashak:-- Sahitya Veethee, Delhi.

Review by

Amalendu Upadhyaya

कोई टिप्पणी नहीं: